16 december
2014 soraj jab tuluh hua tu kisi ke zehano gumaan main bhi na tha ke is din
Pakistani quoom ki kayi nanni jano ki zindagi ka soraj ghuroob hone wala hai .
aur wo bhi kuch is tarha ke dil farash waqia oeshawar main aik naye qabarastan
ki bunyaad dal dega . sunte hai ke 16 dececmber 1971 pakistani tareek ka aik
aisa siyah baab hai ke is din main mashrik-e-pakistan hum se alheda hua . tu yu
laga jaise jism ka koi hissa kaat kar phenk diya gaya ho . aur logo ke jismo se
inki rohe nikal gai ho . lekin 44 saal baad isi tareek ko aik aisa waqia paish
aya . jisne puri quoom ko hila kar rakh
diya .
Peshawar ka ye school aik arny public
school tha .yaha security hona lazmi tha . lekin afsos ki bat ye hai ke waha
koi security ka intizaam tak na tha . army ke school hi mehfoz nahi tu hamare
mulk ka kiya hoga ? hamara mulk kaise mehfooz reh sakta hai ? is waqai par har
ankh ashk bar thi aur mulk bhar main logo ne is par bharpor ihtijaj kiya lekin hamare
mulk main ab tak koi security ka nizaam nazar nahi aya . kiya aise hi maee apne lakht-e- jigar ko khoti rahengi ?
16 december ko sirf mashriki Pakistan hi alheda nahi hua . balke issi tareek ko
ye dardnaak waqia bhi paish aya . lekin
ye samajhna mushkil hoga ? ke kon sa waqia kitna zyada dardnaak hai ? kis ne
puri quoom ko shaded tareen sadme se do char kiya hai ? kyu ke is din hi hamare
bhai mashriki paistan (Bangladesh) hub se alheda hua aur issi din hazaro maoo
ne apne lakht-e-jigar ko kho diya . .jpg)
.jpg)

No comments:
Post a Comment